Khalid Fatehpuri

dhoka bhi nahin tha koi unwan bhi nahin tha

Khalid Fatehpuri

dhokā bhī nahīñ thā koī unvāñ bhī nahīñ thā
aise meñ jiye jaane kā imkāñ bhī nahīñ thā
kyā jāniye kyā soch ke vaañ Duub ga.e ham
dariyā meñ to is dam kahīñ tūfāñ bhī nahīñ thā
ābād sarāboñ se sadā is kā jahāñ thā
sahrā mire dil sā kabhī vīrāñ bhī nahīñ thā
ik baat thī ye ham use socheñ ki na socheñ
haañ is ke sivā mas.ala-e-jāñ bhī nahīñ thā
ye jaan ke vo raqs kiyā ahl-e-junūñ ne
jo haath lagā un ke garebāñ bhī nahīñ thā
har saañs nikaltī hai tirī yaad meñ Duubī
aur bhuul ke jiinā tujhe āsāñ bhī nahīñ thā
kuchh phuul shagufta mire hoñToñ pe saje haiñ
ā.īna mujhe dekh ke hairāñ bhī nahīñ thā
phūloñ ke lahū se ye chaman-zār thā raushan
gulshan meñ kahīñ ḳhār-e-muġhīlāñ bhī nahīñ thā
hai baat baḌī jaan mirī kaam to aa.ī
vo qatl mujhe kar ke pashemāñ bhī nahīñ thā
in mast nigāhoñ ke ishāroñ ko samajhnā
mushkil bhī nahīñ thā koī āsāñ bhī nahīñ thā
duniyā ye bhalā kyuuñ mire qadmoñ meñ paḌī hai
maiñ is ke liye itnā pareshāñ bhī nahīñ thā
palkoñ ko sikhā dete rah-o-rasm bhī 'ḳhālid'
thī hijr kī shab aur charāġhāñ bhī nahīñ thā
Top Urdushayar.com