Khalid Fatehpuri

na wo dard hai na wo ranj hai na hujum zulmat-e-sham hai

Khalid Fatehpuri

na vo dard hai na vo rañj hai na hujūm zulmat-e-shām hai
mire ḳhushk hoñToñ pe yak-ba-yak jo chamak uThā tirā naam hai
kabhī kahkashāñ se guzar ga.e kabhī bazm-e-gul meñ utar ga.e
jo samajh ga.e to Thahar ga.e tirā dar hī apnā maqām hai
mire ġham haiñ kitne ajiib se vo milā kahāñ hai nasīb se
yahāñ qurb kī mujhe aarzū vahāñ duur hī se salām hai
jo chhupā ke pyāsoñ se maiñ piyūñ jo kisī ke haath se chhīn luuñ
to vo pyaas mujh se gunāh hai to vo jaam mujh pe harām hai
suno sar-phiro mire hāsīdo mirī zindagī kā hai raaz kyā
mirā sar kahīñ bhī jhuke to kyuuñ mirā dil kisī kā ġhulām hai
hameñ thī ḳhabar ye to peshtar ki hai āstīñ meñ chhupī chhurī
mile phir gale yahī soch kar chalo lab pe is ke to raam hai
maiñ vahī huuñ 'ḳhālid'-nā-rasā mujhe jāntā hai ye mai-kada
mirā jaam jaam meñ aks hai mirā buuñd buuñd meñ naam hai
Top Urdushayar.com