log saare bhale nahīñ hote
haañ magar sab bure nahīñ hote
muddatoñ dekh-bhāl hai lāzim
peḌ yuuñ hī khaḌe nahīñ hote
vo patañgoñ kā pyaar kyā jaane
jin ke ghar meñ diye nahīñ hote
ishq chhup kar koī bhale kar le
raaz un ke chhupe nahīñ hote
ḳhvāb un ko hasīn lagtā hai
niiñd se jo jage nahīñ hote
phuul samjhā na hotā sho.aloñ ko
haath mere jale nahīñ hote
pyaar chhūtā nahīñ agar dil ko
sher ham ne kahe nahīñ hote