Chitransh Khare

kaenat-e-arzu mein hum basar karne lage

Chitransh Khare

Datia, Madhya Pradesh, India

1989
kā.enāt-e-ārzū meñ ham basar karne lage
sab bahut nafrat se kyuuñ ham par nazar karne lage
tere har lamhe kā ham ne aaj tak rakkhā hisāb
ye alag hai baat ḳhud ko be-ḳhabar karne lage
zindagī ko alvidā.a kah kar chalā jā.ūñgā maiñ
jab mirī tanhā.ī mujh ko dar-ba-dar karne lage
mulk kī barbādiyāñ us vaqt tai ho jā.eñgī
jab burī tahzīb bachchoñ par asar karne lage
yā-ḳhudā rāh-e-vafā par rahbarī karnā merī
jab mujhe gumrāh merā ham-safar karne lage
chhoḌ kar us vaqt ohde ḳhud chalā jā.ūñgā maiñ
shak jahāñ koī mire īmān par karne lage
ishq ke us moḌ ko sab log kahte haiñ junūñ
dil kisī ko yaad jab shām-o-sahar karne lage
Top Urdushayar.com