Chitransh Khare

hamare sabr ka ek imtihan baqi hai

Chitransh Khare

Datia, Madhya Pradesh, India

1989
hamāre sabr kā ik imtihān baaqī hai
isī liye to abhī tak ye jaan baaqī hai
vo nafratoñ kī imārat bhī gir ga.ī dekho
mohabbatoñ kā ye kachchā makān baaqī hai
mirā usuul hai ġhazloñ meñ sach bayāñ karnā
maiñ mar gayā to mirā ḳhāndān baaqī hai
maiñ chāñd par huuñ magar mutma.in nahīñ huuñ maiñ
mire paroñ meñ abhī bhī uḌaan baaqī hai
miTā do jism se merī nishāniyāñ lekin
tumhārī ruuh pe merā nishān baaqī hai
tumheñ to sach ko ugalne kī thī baḌī aadat
tumhāre muñh meñ abhī tak zabān baaqī hai
hamārī maut ko barsoñ guzar ga.e lekin
badan kā ḳhaak se ab tak milān baaqī hai
Top Urdushayar.com