Chitransh Khare

jo meri chhat ka rasta chand ne dekha nahin hota

Chitransh Khare

Datia, Madhya Pradesh, India

1989
jo merī chhat kā rasta chāñd ne dekhā nahīñ hotā
to shāyad chāñdnī le kar yahāñ utrā nahīñ hotā
duā.eñ do tumheñ mash.hūr ham ne kar diyā varna
nazar-andāz kar dete to ye jalvā nahīñ hotā
abhī to aur bhī mausam paḌe hai mere saa.e meñ
maiñ bargad kā shajar huuñ muddatoñ būḌhā nahīñ hotā
hasīnoñ se tamannā-e-vafā kam-zarf rakhte haiñ
ye aisā ḳhvāb hai jo umr-bhar puurā nahīñ hotā
baḌe ehsān haiñ mujh par tirī ma.asūm yādoñ ke
maiñ tanhā rāsto meñ bhī kabhī tanhā nahīñ hotā
maiñ jab jab sher kī gahrā.iyoñ meñ Duub jaatā huuñ
sivā tere mire dil meñ koī chehra nahīñ hotā
Top Urdushayar.com