ye hādsa mirī āñkhoñ se gar nahīñ hotā
to koī ġham bhī mirā ham-safar nahīñ hotā
havā ke ḳhauf se lo thartharātī rahtī hai
bujhe charāġh ko āñdhī kā Dar nahīñ hotā
qadam qadam pe yahāñ ġham kī dhuup bikhrī hai
koī safar bhī ḳhushī kā safar nahīñ hotā
ḳhudā kī tarah mire dil meñ gar na tū bastā
to merā dil bhī ibādat kā ghar nahīñ hotā
kisī ko yūñhī vafāoñ se mat navāzā kar
ki be-vafā pe vafā kā asar nahīñ hotā