niiñd se aañkh khulī hai abhī dekhā kyā hai
dekh lenā abhī kuchh der meñ duniyā kyā hai
bāñdh rakkhā hai kisī soch ne ghar se ham ko
varna apnā dar-o-dīvār se rishta kyā hai
ret kī iiñT kī patthar kī ho yā miTTī kī
kisī dīvār ke saa.e kā bharosā kyā hai
gher kar mujh ko bhī laTkā diyā maslūb ke saath
maiñ ne logoñ se ye pūchhā thā ki qissa kyā hai
sañg-rezo ke sivā kuchh tire dāman meñ nahīñ
kyā samajh kar tū lapaktā hai uThātā kyā hai
apnī dānist meñ samjhe koī duniyā 'shāhid'
varna hāthoñ meñ lakīroñ ke alāva kyā hai