pukārtī hai jo tujh ko tirī sadā hī na ho
na yuuñ lapak ki palaTne ko hausla hī na ho
tamām harf zarūrī nahīñ hoñ be-ma.anī
ye āsmān udhar jhuk ke TūTtā hī na ho
mile the yuuñ ki judā ho ke aise milte haiñ
hamāre biich kabhī jaise kuchh huā hī na ho
har ek shaḳhs bhaTaktā hai tere shahr meñ yuuñ
kisī kī jeb meñ jaise tirā patā hī na ho
jo hotā jaatā hai māyūs din-ba-din tujh se
zarā qarīb se dekh is ko aa.inā hī na ho
jahāñ ko chhān ke baiThā hai is tarah 'shāhid'
tamām umr meñ jaise kabhī chalā hī na ho