kyā farz hai ye jism ke zindāñ meñ sazā de
maiñ ḳhaak agar huuñ to havāoñ meñ uḌā de
ik umr se mahsūs kiye jaatā huuñ ḳhud ko
koī mujhe chhūkar mire hone kā patā de
maiñ jumbish-e-añgusht meñ mahfūz rahūñgā
har chand mujhe ret pe tū likh ke miTā de
ujḌā huā ye peḌ bhī de jā.egā manzar
sūkhī hui shāḳhoñ maiñ koī chāñd phañsā de
tū jis ke tasavvur meñ milā kartā hai mujh se
us shaḳhs se merī bhī mulāqāt karā de
bahtī hui is bhiiḌ ke tūfān meñ 'shāhid'
kis lahr ko pakḌe koī aur kis ko sadā de