andar kā sukūt kah rahā hai
miTTī kā makān bah rahā hai
shabnam ke amal se gul thā larzāñ
sūraj kā itaab sah rahā hai
bistar meñ khulā ki thā akahrā
vo jism jo tah-ba-tah rahā hai
patthar ko nichoḌne se hāsil
har chand nadī meñ rah rahā hai
ā.īna pighal chukā hai 'shāhid'
sākit huuñ maiñ aks bah rahā hai