ruuh ko qaid kiye jism ke hāloñ meñ rahe
log makḌī kī tarah apne hī jāloñ meñ rahe
jism ko aa.ina dikhlāte haiñ saa.e varna
aadmī ke liye achchhā thā ujāloñ meñ rahe
vaqt se pahle ho kyuuñ zehn pe ḳhurshīd kā bojh
raat baaqī hai abhī chāñd piyāloñ meñ rahe
phir to rahnā hī hai ghūre kā muqaddar ho kar
phuul taaza hai abhī reshmī bāloñ meñ rahe
shauq hī hai to bahar-hāl tamāshā baniye
ye zarūrī nahīñ vo dekhne vāloñ meñ rahe
ab calendar meñ nayā DhūñDiye chehra 'shāhid'
kab talak ek hī tasvīr ḳhayāloñ meñ rahe