be-sabab baat baḌhāne kī zarūrat kyā hai
ham ḳhafā kab the manāne kī zarūrat kyā hai
aap ke dam se to duniyā kā bharam hai qaa.em
aap jab haiñ to zamāne kī zarūrat kyā hai
terā kūcha tirā dar terī galī kaafī hai
be-Thikānoñ ko Thikāne kī zarūrat kyā hai
dil se milne kī tamannā hī nahīñ jab dil meñ
haath se haath milāne kī zarūrat kyā hai