ret kī lahroñ se dariyā kī ravānī māñge
maiñ vo pyāsā huuñ jo sahrāoñ se paanī māñge
tū vo ḳhud-sar ki ulajh jaatā hai ā.īnoñ se
maiñ vo sarkash ki jo tujh se tirā saanī māñge
vo bhī dhartī pe utārī huī maḳhlūq hī hai
jis kā kaaTā huā insān na paanī māñge
abr to abr shajar bhī haiñ havā kī zad meñ
kis se dam bhar ko koī chhāñv suhānī māñge
uḌte pattoñ pe lapaktī hai yuuñ Daalī Daalī
jaise jaate hue mausam kī nishānī māñge
maiñ vo bhūlā huā chehra huuñ ki ā.īna bhī
mujh se merī koī pahchān purānī māñge
zard malbūs meñ aatī haiñ bahāreñ 'shāhid'
aur tū rañg ḳhizāoñ kā bhī dhānī māñge