Hameed Nag Puri

wo chaal chal ki zamana bhi sath chalne lage

Hameed Nag Puri

Nagpur, Maharashtra, India

1906
vo chaal chal ki zamāna bhī saath chalne lage
nigār-e-zīst tirī samt ruḳh badalne lage
vafūr-e-yās meñ muzhda hai kis ke aane kā
ye aaj kyuuñ sar-e-mizhgāñ charāġh jalne lage
zamāna pher le āñkheñ to kyā gilā us kā
sitam to ye hai ki tum bhī nazar badalne lage
mujhe ye Dar hai ba-īñ vasf-e-ehtirām-e-vafā
na terī chashm-e-mohabbat kahīñ badalne lage
ye dāġh-e-sajda to nañg-e-jabīñ hai ai zāhid
agar na soz-e-mohabbat se dil pighalne lage
na pūchh kis nigah-e-ḳhās kā tasarruf hai
qadam jo rāh-e-mohabbat meñ ḳhud sambhalne lage
'hamīd' shām-e-ġharībāñ kā kis liye shikva
vo dekh jānib-e-manzil charāġh jalne lage
Top Urdushayar.com