mujhe rahīn-e-ġham-e-jāñ-navāz rahne de
davā-e-dard-e-jigar chārasāz rahne de
nihāñ abhī mirī vahshat kā raaz rahne de
na chheḌ qissa-e-zulf-e-darāz rahne de
fasāna-e-ġham-e-hastī sunā.e jā hamdam
darāz hai jo ye qissa darāz rahne de
razā.ī dost yahī hai harīm-e-ulfat meñ
jabīn-e-shauq ko vaqf-e-niyāz rahne de
niyāz-mand huuñ terā ai be-niyāz mire
na apne dar se mujhe be-niyāz rahne de