qubūl kar ke terā ġham ḳhushī ḳhushī maiñ ne
tire jamāl ko baḳhshī hai zindagī maiñ ne
bas ik nigāh-e-tavajjoh pe is tarah ḳhush huuñ
ki jaise daulat-e-kaunain luuT lī maiñ ne
dhaḌak rahā thā mire har-nafas meñ dil un kā
sunī qarīb se āvāz duur kī maiñ ne
zamāna tā-ba-abad un ko bhar nahīñ saktā
jigar pe khaa.e haiñ vo zaḳhm-e-dostī maiñ ne
tire jamāl kī sar-mastiyoñ meñ gum ho kar
har ek sā.at-e-hastī guzār dī maiñ ne
ḳhudā-e-do-jahāñ is jurm ko muaaf kare
uḌaa.ī hai lab-e-gul-rañg kī hañsī maiñ ne
'hamīd' mujh ko zamāna bhulā nahīñ saktā
banā liyā hai mohabbat ko zindagī maiñ ne