Hameed Nag Puri

fikr pabandi-e-haalat se aage na baDhi

Hameed Nag Puri

Nagpur, Maharashtra, India

1906
fikr pābandī-e-hālāt se aage na baḌhī
zindagī qaid-e-maqāmāt se aage na baḌhī
ham samajhte the ġham-e-dil kā mudāvā hogī
vo nazar pursish-e-hālāt se aage na baḌhī
un kī ḳhāmoshī bhī afsāna-dar-afsāna banī
ham ne jo baat kahī baat se aage na baḌhī
sarḳhushī ban na sakī zahr-e-alam kā tiryāk
zindagī talḳhī-e-hālāt se aage na baḌhī
ishq har marhala-e-ġham kī hadeñ toḌ chukā
aql andesha-e-hālāt se aage na baḌhī
aisī jannat kī havas tujh ko mubārak zāhid
jo tire husn-e-ḳhayālāt se aage na baḌhī
nigah-e-dost meñ tauqīr nahīñ us kī hamīd
vo tamannā jo munājāt se aage na baḌhī
Top Urdushayar.com