Hameed Nag Puri

KHud apne aap se hum be-KHabar se guzre hain

Hameed Nag Puri

Nagpur, Maharashtra, India

1906
ḳhud apne aap se ham be-ḳhabar se guzre haiñ
ḳhabar kahāñ ki tirī rahguzar se guzre haiñ
nafas nafas hai mo.attar nazar nazar shādāb
ki jaise aaj vo ḳhvāb-e-sahar se guzre haiñ
na pūchh kitne gul-o-nastaran kā ruup liye
bahār-e-nau ke taqāze nazar se guzre haiñ
bahār-e-ḳhuld ba-har-gām saath saath rahī
tire ḳhayāl meñ kho.e jidhar se guzre haiñ
amaañ milī bhī jo un ko to tere dāman meñ
vo kārvāñ jo mirī chashm-e-tar se guzre haiñ
diloñ pe chhoḌ ga.e naqsh apnī yādoñ kā
tumhāre dard ke maare jidhar se guzre haiñ
hasīñ ho tum ki tumhārī koī misāl nahīñ
hasīn yuuñ to hazāroñ nazar se guzre haiñ
'hamīd' pūchh na āshob-e-dahr kā aalam
hazār fitna-e-mahshar nazar se guzre haiñ
Top Urdushayar.com