har zarra chashm-e-shauq-e-sar-e-rahguzar hai aaj
dil mahv-e-intizār hai aur kis qadar hai aaj
goyā vo jalva-gar haiñ nigāhoñ ke rū-ba-rū
is darja e.atibār-e-fareb-e-nazar hai aaj
mad-hoshī-e-jamāl hai yā husn-e-iltifāt
tamkīñ se be-ḳhabar nigah-e-fitnagar hai aaj
aahaT pe saañs kī tirī aamad kā hai gumāñ
hañgāma-e-hayāt bhī ḳhāmosh-tar hai aaj
jo rāz-e-do-jahāñ hai amānat hai husn kī
hāsil mujhe vo azmat-e-dard-e-jigar hai aaj
manzil kā mujh ko hosh na apnī ḳhabar hai aaj
vo jān-e-ārzū jo mirā ham-safar hai aaj
tahlīl ho na jaa.e kahīñ rūh-e-kā.enāt
saaqī jo ye latāfat-e-kaif-e-nazar hai aaj
mahviyyat-e-jamāl meñ yārā-e-guftugū
ai arz-e-shauq ālam-e-nau-e-digar hai aaj
sāz-e-alam bhī soz-e-tarab-ḳhez hai 'hamīd'
har ik navā-e-dard mirī naġhma-gar hai aaj