yuuñ zindagī guzar rahī hai merī
jo un kī hai vahī ḳhushī hai merī
dekhe the farsh-e-gul ke ḳhvāb lekin
sho.aloñ se rah-guzar sajī hai merī
maiñ lamha lamha jaatā rahā huuñ
āñkhoñ se niiñd uḌ ga.ī hai merī
yāroñ meñ mil sakā na koī tujh sā
kahne ko sab se dostī hai merī
āñkhoñ meñ jhāñk kar na dekhā tum ne
logoñ se dāstāñ sunī hai merī
ghere haiñ an-ginat hasīn yādeñ
tanhā.ī mujh se chhīn lī hai merī