ham se pūchhā kyā biitī hai āḳhir-e-shab ke māroñ par
sahrā sahrā rañg bikhere raqs kiyā añgāroñ par
ik saaya sharmātā lajātā raah meñ tanhā chhoḌ gayā
maiñ parchhā.īñ DhūñD rahā huuñ TuuTī huī dīvāroñ par
sar-gashta the mauj-e-havā se biit gayā vo mausam to ham
barg-e-ḳhizāñ kī mānind ab āvāra haiñ kohsāroñ par
bhūlī-bisrī yādeñ aa kar sargoshī kartī haiñ
phir se koī giit sunāo dil ke shikasta tāroñ par