khelā bachpan jhūmā laḌakpan lahkī javānī chaubāroñ meñ
lāThī thāme dekhā buḌhāpā nagrī ke galiyāroñ meñ
nirt pe jhūmeñ bhaav pe lahkeñ madirā pī kar bahkeñ log
kaun sune jo chīḳheñ dabī haiñ paa.el kī jhankāroñ meñ
bhūle-bisre sapne khojeñ byākul naināñ bekal hirdai
chandr kiran sī muskātī thī dahke hue añgāroñ meñ
nīl-gagan par jis kā singhāsan vo hai jag kā pālanhār
pāgal ḳhud ko daatā samjhe sapnoñ ke sansāroñ meñ
vo chandr-kiran vo rūp-matī vo merī kavitā merī ġhazal
mele meñ kuchh aise bichhḌī Duub ga.ī añdhiyāroñ meñ
chhalkī chhalkī āñkheñ chhupā.e hoñToñ par muskān sajā.e
tum jaisā dukhiyārā na dekhā 'ishrat' jī dukhiyāroñ meñ