Ishrat Qadri

tab-e-nigah thi to nazara bhi dost tha

Ishrat Qadri

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1926
tāb-e-nigāh thī to nazāra bhī dost thā
us chashm-e-nargisīñ kā ishāra bhī dost thā
TuuTā to āsmāñ se ḳhalāoñ meñ kho gayā
jab tak chamak rahā thā sitāra bhī dost thā
ham khelte the aag se jis sin meñ un dinoñ
chiñgāriyāñ thiiñ phuul sharārā bhī dost thā
aThkheliyāñ thiiñ ret pe maujoñ kī duur tak
Thahrī huī nadī kā kinārā bhī dost thā
ġham-ḳhvāriyāñ thiiñ sheva dil-e-dard-mañd kā
laakh ajnabī ho ishq kā maarā bhī dost thā
rāteñ ḳhayāl-o-ḳhvāb se ārāsta rahīñ
pahlū meñ ek anjuman-ārā bhī dost thā
miTTī kā rizq ho gayā kuchh yādeñ chhoḌ kar
kis se kaheñ ki shaad sā pyārā bhī dost thā
kis tarah jā milā hai saf-e-dushmanāñ meñ vo
'ishrat' jo ek shaḳhs hamārā bhī dost thā
Top Urdushayar.com