bahut hassās-o-nāzuk ābgīne vaalā maiñ tanhā
sharābeñ pheñk kar zahrāb piine vaalā maiñ tanhā
na.e lashkar na.e neze na.ī sharteñ haiñ bai.at kī
ye kis kuufe meñ huuñ makke madīne vaalā maiñ tanhā
lahū se kis tarah tārīḳh likhūñ asr-e-hāzir kī
hazāroñ sar kaTī lāshoñ meñ jiine vaalā maiñ tanhā
suḳhan-e-nā-āshnā sāhib-qirāñ ahl-e-samā.at meñ
shu.ūr-o-fan kā girvīda qarīne vaalā maiñ tanhā
batā.ūñ apnā shajara kiyā subuk-sārān-e-sāhil ko
tah-e-girdāb gum-gashta safīne vaalā maiñ tanhā
azāb-e-jāñ hai 'ishrat' dard-mandī aur hissiyat
qatāroñ meñ garebāñ chaak siine vaalā maiñ tanhā