Ishrat Qadri

daryaft kar ke KHud ko zamane se dur hun

Ishrat Qadri

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1926
daryāft kar ke ḳhud ko zamāne se duur huuñ
har shaḳhs bā-shu.ūr hai maiñ be-shu.ūr huuñ
hijrat mirā nasīb hai parvāz mashġhala
gumbad ke dā.ere meñ misāl-e-tuyūr huuñ
gandum kī ḳhushbū raqs meñ rakhtī hai rāt-din
mastī-bharī sharāb ke nashshe meñ chuur huuñ
sadiyoñ se be-libās darīda-badan udaas
tasvīr-e-kā.enāt meñ be-rañg-o-nūr huuñ
bosīda sī kitāb kā ik hāshiya ho tum
lauh-e-azal pe likkhā maiñ bainassutūr huuñ
merā vajūd paanī huā miTTī aur aag
bikhrī huī anā huuñ sulagtā ġhurūr huuñ
fard-e-amal navishta-e-taqdīr paḌh chukā
ḳhāmosh sar jhukā.e ḳhud apne huzūr huuñ
khīñchā nahīñ hisār koī apne ird-gird
'ishrat' maiñ apnī zaat meñ tanhā zarūr huuñ
Top Urdushayar.com