uThāo lauh-o-qalam hādse tamām likhūñ
ravāñ sadī meñ huā hai jo qatl-e-ām likhūñ
nasīm-e-sub.h ibārat hai terī ḳhushbū se
sabā kī narm-ravī ko tirā ḳhirām likhūñ
ulajhtī sāñsoñ kī tafsīr ḳhūñ-chakāñ naġhma
sukūt TuuT bhī jaa.e to kis ke naam likhūñ
harīm-e-zāt farozāñ hai jis ke partav se
usī jhalak ko ufuq par mah-e-tamām likhūñ
koī to sub.h-e-rifāqat se kar sakūñ ta.abīr
koī to shaam tire saath apne naam likhūñ
chhalak rahī hai subūhī qadam kī laġhzish se
siyāh chashm kī gardish ko daur-e-jām likhūñ
ajab ishāre haiñ nīchī nigāh ke 'ishrat'
vo jitne rañj bhī de ḳhud ko shād-kām likhūñ