rotā huuñ qadr-dān-e-matā-e-hunar ko maiñ
lā.ūñ kahāñ se DhūñDh ke us dīda-var ko maiñ
sad hāsil-e-tarab hai rifāqat kī ye ghaḌī
vo mujh ko dekhte haiñ charāġh-e-sahar ko maiñ
muddat huī hai chāk-e-garebāñ siye hue
kartā huuñ yaad mausam-e-dīvāna-gar ko maiñ
lab par haiñ zindagī kī duā.eñ bahar-nafas
māyūs pā rahā huuñ masīhā nazar ko maiñ
dekhā hai tum ne kūcha-e-dildār meñ use
pahchāntā huuñ 'ġhālib'-e-āshufta-sar ko maiñ