Ishrat Qadri

hath mein jab tak qalam tha tajribe likhte rahe

Ishrat Qadri

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1926
haath meñ jab tak qalam thā tajribe likhte rahe
ham zamīñ par āsmāñ ke mashvare likhte rahe
umr kitnī kaT ga.ī hijrat meñ sochā hī nahīñ
chehre kī saarī lakīreñ aa.ine likhte rahe
mausamoñ kī dastakeñ chīḳhoñ meñ dab kar rah ga.iiñ
giit kī farmā.isheñ thiiñ marsiye likhte rahe
tum na paḌhnā vo safar-nāma jo nok-e-ḳhār par
kū-ba-kū sahrā-ba-sahrā aable likhte rahe
hādse jin par mo.arriḳh kī zabāñ khultī nahīñ
shahr kī dīvār par ham ḳhuun se likhte rahe
kār-nāma aur kyā karte ye naqqādān-e-asr
nok-e-ḳhanjar se ġhazal par hāshiye likhte rahe
kaifiyat shāḳh-e-nihāl-e-ġham kī 'ishrat' sub.h-o-shām
āte-jāte mausamoñ ke qāfile likhte rahe
Top Urdushayar.com