nigāh ā.īna hai aks-e-musta.ār huuñ maiñ
hayāt qarz hai mujh par to zer-e-bār huuñ maiñ
pighal na jaa.e anā shiddat-e-tamāzat se
girāñ hai tab-e-ḳharīdār kam-ayār huuñ maiñ
savād-e-shab meñ ik āvāz par huuñ garm-e-safar
asīr-e-zulf na āvāra-e-bahār huuñ maiñ
hinā.ī hāthoñ se chehra chhupā rahā hai vo
shikast-e-ahd pe bhī tahniyat-guzār huuñ maiñ
jo pau phaTe to naved-e-sahar mile 'ishrat'
hazār rātoñ se sar-tā-pā intizār huuñ maiñ