hunar se jaa.e kisī ke na fan se jaatā hai
lahū kā daaġh kahīñ pairahan se jaatā hai
ba-sad adā nigah-e-sīm-tan se jaatā hai
jigar ke paar har ik tiir san se jaatā hai
numūd-e-teġh-e-badan ma.arke kā jauhar hai
dikhā ke piiTh kahīñ koī ran se jaatā hai
ragoñ meñ soz-e-ġham-e-ishq se lahū hai ravāñ
so vahshī aage nikal kar hiran se jaatā hai
mizha pe hotā hai raushan charāġh-e-tanhā.ī
asīr-e-zulf agar anjuman se jaatā hai
na koī tesha na sañg-e-girāñ na jū-e-shīr
junūn-e-ishq dil-e-kohkan se jaatā hai