Ghulam Mustafa Faraz

falak mein uDun panw mein zamin bhi rahe

Ghulam Mustafa Faraz

falak meñ uḌuuñ paañv meñ zamīñ bhī rahe
zabāñ se haañ bhī kahūñ zehn se nahīñ bhī rahe
tire sivā bhī kisī aur kī zamīn thī kyā
chaman meñ dasht meñ sahrā meñ yā kahīñ bhī rahe
mirī hī ḳhaak sar-e-tūr ham-kalām bhī ho
mirī hī ḳhaak meñ aazar panah-guzīñ bhī rahe
vo jis ke dar pe hai ye kā.enāt sajda-rez
usī ke dar pe ḳhamīda mirī jabīñ bhī rahe
nahīñ ye baat to mumkin nahīñ kī sūrat meñ
ki lā-makāñ bhī rahe dil meñ aur makīñ bhī rahe
vo jis kī lahr pe lahrā.e ālam-e-imkāñ
usī ko haq hai vahī zer-e-āstīñ bhī rahe
Top Urdushayar.com