ek zamāne meñ jab ham tum donoñ hī joshīle the
is duniyā ke saare mausam ThanDe the barfīle the
dekhne vaale māl-o-zar kyā jaan luTāyā karte the
ḳhadd-o-ḳhāl badan ke kitne mahñge the ḳharchīle the
sāmne us ke jaate the to mohr-ba-lab rah jaate the
bāhar se ham shoḳh bahut the andar se sharmīle the
qismat kā ye khel bhī dekho khel kī jab tak umr rahī
kūza-gar ke chaak se utre saare khilaune giile the
phuul sī bāteñ phuul sā lahja phuul se lab the phuul se gaal
lekin shāḳh-e-badan ke saare ḳhaar bahut nokīle the
un āñkhoñ meñ sahrā kī ab ret chamaktī rahtī hai
un āñkhoñ meñ jin āñkhoñ ke ḳhvāb bahut chamkīle the