Ghulam Mustafa Faraz

kaif-o-surur-o-masti humse KHud mein hain mai-KHana hum

Ghulam Mustafa Faraz

kaif-o-surūr-o-mastī ham se ḳhud meñ haiñ mai-ḳhāna ham
shīsha sāġhar saaqī miinā jām-o-subū paimāna ham
ek zarā sī der huī kyā us kī galī tak jaane meñ
tanhā.ī kī shakl meñ ab tak bharte haiñ jurmāna ham
jaane kaun sā jaadū thā us jhiil sī gahrī āñkhoñ meñ
dil jaisī nāyāb sī shai tak de aa.e nazrāna ham
jis ne chāhā jaisā chāhā joḌ liyā ik rishta phir
ishq meñ tere bhuul ga.e jab apnā aur begāna ham
rū-e-zamīñ kā ik ik manzar apnī nazar ke dam se hai
sahrā aur samundar ham haiñ gulshan aur vīrāna ham
rafta rafta miT jā.eñge naqsh hamārī hastī ke
dhīre dhīre ho jā.eñge duniyā meñ afsāna ham
Top Urdushayar.com