girā to gir ke sar-e-ḳhāk-e-ibtizāl aayā
maiñ teġh-e-tez thā lekin mujhe zavāl aayā
ajab huā ki sitāra-shanās se mil kar
shikast-e-anjum-e-nau-ḳhez kā ḳhayāl aayā
maiñ ḳhāk-e-sard pe soyā to mere pahlū meñ
phir ek ḳhwāb-e-shikast ā.ina-misāl aayā
kamān-e-shāḳh se gul kis hadaf ko jaate haiñ
nasheb-e-ḳhāk meñ jā kar mujhe ḳhayāl aayā
koī nahīñ thā magar sāhil-e-tamannā par
havā-e-shām meñ jab rañg-e-indimāl aayā
yahī hai vasl dil-e-kam-muāmla ke liye
ki aa.ine meñ vo ḳhurshīd-e-ḳhadd-o-ḳhāl aayā