huā hai qat.a mirā dast-e-mojaza tujh pe
giyāh-e-zard bahut hai ye sāneha tujh pe
maiñ chāhtā huuñ mujhe mash.aloñ ke saath jalā
kushāda-tar hai agar ḳhema-e-havā tujh pe
maiñ apne kushta charāġhoñ kā pul banā detā
kisī bhī shaam mirī nahr-e-pesh-pā tujh pe
ye koī kam hai ki ai reg-e-shīsha-e-sā.at
ugā rahā huuñ maiñ ik naḳhl-e-ā.īna tujh pe
ki ajnabī huuñ bahut sāya-e-shajar ke liye
so reg-e-zard meñ hotā huuñ rū-numā tujh pe
pukārtī hai mujhe ḳhāk-e-ḳhisht-e-paivasta
ye nasb hone kā hai ḳhatm silsila tujh pe