bahut na hausala-e-izz-o-jāh mujh se huā
faqat farāz-e-nagīn-o-nigāh mujh se huā
charāġh-e-shab ne mujhe apne ḳhvāb meñ dekhā
sitāra-e-saharī ḳhush-nigāh mujh se huā
giraft-e-kūzā se ik ḳhaak merī samt baḌhī
saf-e-sarāb koī sadd-e-rāh mujh se huā
shab-e-fasāna-o-farsañg us se mil aayā
jo māvarā-e-safed-o-siyāh mujh se huā
sar-e-gurez-o-gumāñ us ne imtihān liyā
jo ham-kanār mirā kam-nigāh mujh se huā
Kamān-e-ḳhāna-e-aflāk ke muqābil bhī
maiñ us se aur vo phir kaj-kulāh mujh se huā
jo sail-e-hijrat-e-gul thā mire qadam se rukā
kamand lamha-e-sad-ishtibāh mujh se huā
niyām-zad na huī mujh se teġh-e-hairānī
shikaste-e-ā.ina-e-intibāh mujh se huā