Afzal Ahmad Syed

koi na harf-e-nawed-o-KHabar kaha usne

Afzal Ahmad Syed

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1946
koī na harf-e-naved-o-ḳhabar kahā us ne
vahī fasāna-e-ashufta-tar kahā us ne
shirākat-e-ḳhas-o-shola hai kārobār-e-junūñ
ziyāñ-kade meñ kis anjām par kahā us ne
use bhī nāz-e-ġhalat-karda-e-taġhāful thā
ki ḳhvāb o ḳhema-faroshī ko ghar kahā us ne
tamām log jise āsmān kahte haiñ
agar kahā to use baal o par kahā us ne
use ajab thā ġhurūr-e-shaguft-e-ruḳhsārī
bahār-e-gul ko bahut be-hunar kahā us ne
ye gul haiñ aur ye sitāre haiñ aur ye maiñ huuñ
bas ek din mujhe tālīm kar kahā us ne
mirī misāl thī saffāki-e-tamannā meñ
supurdagī meñ mujhe qatl kar kahā us ne
maiñ āftāb-e-qayāmat thā so tulū huā
hazār matla-e-nā-sāz-tar kahā us ne
Top Urdushayar.com