Afzal Ahmad Syed

ye nahr-e-ab bhi uski hai mulk-e-sham us ka

Afzal Ahmad Syed

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1946
ye nahr-e-āb bhī us kī hai mulk-e-shām us kā
jo hashr mujh pe bapā hai vo ehtimām us kā
sipāh-e-tāza bhī us kī saf-e-nigāh se hai
safā-e-sīna-e-shmshīr par hai naam us kā
amaan ḳhema-e-ram-ḳhurdgāñ meñ baaqī hai
ki nā-tamām hai ik shauq-e-qatl-e-ām us kā
kitāb-e-umr se sab harf uḌ ga.e mere
ki mujh asiir ko honā hai ham-kalām us kā
dil-e-shikasta ko laanā hai rū-ba-rū us ke
jo mujh se narm huā koī band daam us kā
maiñ us ke haath se kis zaḳhm meñ kamī rakkhūñ
shurū-e-nāz bhī us kā hai iḳhtitām us kā
Top Urdushayar.com