Afzal Ahmad Syed

kuchh aur rang main tartib-e-KHushk-o-tar karta

Afzal Ahmad Syed

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1946
kuchh aur rañg maiñ tartīb-e-ḳhushk-o-tar kartā
zamīñ bichhā ke havā oḌh ke basar kartā
gul o shaguft ko aapas meñ dastaras detā
aur aa.ine ke liye aa.ina sipar kartā
charāġh-e-kohna haTātā fasīl-e-murda se
giyāh-e-ḳhām pe shabnam dabīz-tar kartā
vo niim nān-e-ḳhunuk aab aur sag-e-ham-nām
maiñ zer-e-sabz-shajar apnā mustaqar kartā
vo jis se shahr kī dīvār be-navishta hai
maiñ us kī shāḳh-e-tahayya ko be-samar kartā
maiñ chūmtā huā ik ahd-nāma-e-mansūḳh
kisī qadīm samundar meñ rahguzar kartā
Top Urdushayar.com