Afzal Ahmad Syed

dua ki rakh pe marmar ka itr-dan us ka

Afzal Ahmad Syed

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1946
duā kī raakh pe marmar kā itr-dāñ us kā
gazīdgī ke liye dast-e-mehrbāñ us kā
gahan ke roz vo dāġhī huī jabīñ us kī
shab-e-shikast vahī jism be-amāñ us kā
kamand-e-ġhair meñ sab asp o gosfand us ke
nasheb-e-ḳhāk meñ ḳhufta-sitāra-dāñ us kā
tannūr-e-yaḳh meñ ThiThurte haiñ ḳhvāb o ḳhuuñ us ke
likhā hai naam sar-e-lauh-e-raftagāñ us kā
chunī huī haiñ tah-e-ḳhisht uñgliyāñ us kī
khulā huā hai pas-e-reg bādbāñ us kā
vo ik charāġh hai dīvār-e-ḳhastagī pe rukā
havā ho tez to har haal meñ ziyāñ us kā
usī se dhuup hai ambār-e-dhund hai rū-posh
giraft-e-ḳhvāb se barsar hai kārvāñ us kā
Top Urdushayar.com