Afzal Ahmad Syed

kabhi na KHud ko bad-andesh-e-dasht-o-dar rakkha

Afzal Ahmad Syed

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1946
kabhī na ḳhud ko bad-andesh-e-dasht-o-dar rakkhā
utar ke chaah meñ pātāl kā safar rakkhā
yahī bahut the mujhe naan o aab o sham.a o gul
safar-nazhād thā asbāb muḳhtasar rakkhā
havā-e-shām-e-dil-āzār ko asiir kiyā
aur us ko dasht meñ pan-chakkiyoñ ke ghar rakkhā
vo ek reg-gazīda sī nahr chalne lagī
jo maiñ ne chuum ke paikāñ kamān par rakkhā
vo aa.ī aur vahīñ tāqchoñ meñ phuul rakhe
jo maiñ ne nazr ke patthar pe jānvar rakkhā
jabīñ ke zaḳhm pe misqāl-e-ḳhāk rakkhī aur
ik alvidā kā shugūñ us ke haath par rakkhā
giraft tez rakkhī raḳhsh-e-umr par maiñ ne
bajā.e jumbish-e-mahmez-e-nīshtar rakkhā
Top Urdushayar.com