Manzar Shahab

phir shoala-e-gul mauj-e-saba chahiye yaro

Manzar Shahab

phir sho.ala-e-gul mauj-e-sabā chāhiye yaaro
gulnār gulistāñ kī fazā chāhiye yaaro
pairāhan-e-jāñ chaak rahe tez havā meñ
tūfān meñ jiine kī adā chāhiye yaaro
matlūb ho gar shāhid-e-ma.anī kī tajallī
alfāz kī sad-rañg qabā chāhiye yaaro
shādāb na.ī rut se hai gulzār-e-adab bhī
phūloñ ko tar-o-tāza havā chāhiye yaaro
jitne bhī darīche haiñ sabhoñ ko na karo band
ik aadh darīcha to khulā chāhiye yaaro
shīshe kī koī chiiz salāmat na rahegī
is daur meñ patthar kī anā chāhiye yaaro
dil sañg-e-malāmat se hinā-rañg hai lekin
kuchh aur rifāqat kā sila chāhiye yaaro
Top Urdushayar.com