Manzar Shahab

wo gham-gusar bil-aKHir bala-e-jaan nikla

Manzar Shahab

vo ġham-gusār bil-āḳhir balā-e-jāñ niklā
jise zamīn samajhte the āsmāñ niklā
azīm-tar hai mohabbat meñ ruuh kā rishta
magar badan kā ta.alluq bhī darmiyāñ niklā
surāġh-e-qatl shahādat subūt sab gūñge
lahū ḳhamosh thā ḳhanjar bhī be-zabāñ niklā
tamām rāste maazī ke band the phir bhī
har ek moḌ se yādoñ kā kārvāñ niklā
sunī jo merī kahānī to ro paḌe sab log
sabhoñ ke dard meñ ik rishta-e-nihāñ niklā
ham apne ġham kā fasāna kahā kiye shab-bhar
huī jo sub.h to zikr-e-ġham-e-jahāñ niklā
'shahāb' jis kī ḳhitābat kā shor hai yaaro
ġhazal kī bazm meñ kam-saut-o-kam-bayāñ niklā
Top Urdushayar.com