bārisheñ ḳhuun kī tez haiñ tez haiñ ḳhuun kī āñdhiyāñ
chāk-dar-chāk uḌne lagīñ ḳhuun meñ ziist kī chhatriyāñ
raat petrol kī aag se shahr meñ yuuñ charāġhāñ huā
kaañp kar bujh ga.iiñ dil ke raushan jharokoñ kī sab battiyāñ
be-amāñ ḳhalq curfew-zada roz-o-shab ke añdhere meñ gum
apnī gardan meñ Daale hue apne katbāt kī taḳhtiyāñ
donoñ hī likh rahī thiiñ lahū se mire sāneha qatl kā
ik taraf hamla-var āstīñ ik taraf pāsbāñ vardiyāñ
gar yūñhī aag dāman se uThtī rahī to jalā Dālegī
husn-e-gul-rañg kā pairahan ishq-e-gulnār kī dhajjiyāñ
jaltī āñkhoñ ke motī pighalte rahe aur ehsās ke
reg-zāroñ meñ taptī rahīñ mere ḳhvāboñ kī parchhā.iyāñ
marg-e-amboh kā jashn-e-mātam hai raushan kareñ ham 'shahāb'
phuljhaḌī ashk-e-ḳhush-rañg kī taaza zaḳhmoñ kī mahtābiyāñ