Anwarul Hasan Anwar

aaya na aab-e-rafta kabhi juebar mein

Anwarul Hasan Anwar

aayā na āb-e-rafta kabhī jūebār meñ
kaise qarār aa.e dil-e-be-qarār meñ
hañgām-e-sub.h-e-īd meñ bhī vo mazā kahāñ
jo lutf mil gayā hai shab-e-intizār meñ
bijlī girī thī kab ye kisī ko ḳhabar nahīñ
ab tak chaman meñ aag lagī hai bahār meñ
jab tak bikhar na jaa.e tirī zulf-e-ambarīñ
nik.hat kahāñ se aa.e nasīm-e-bahār meñ
fursat milī hai dil ko nasheman kī fikr se
phir barq kūñdne lagī har shāḳh-sār meñ
phir kis kī yaad aa.ī ki 'anvār' āj-kal
motī piro rahā huuñ garebāñ ke haar meñ
Top Urdushayar.com