Anwarul Hasan Anwar

sukun-e-dil na mayassar hua zamane mein

Anwarul Hasan Anwar

sukūn-e-dil na mayassar huā zamāne meñ
na yaad rakhne meñ tum ko na bhuul jaane meñ
hamesha vus.at-e-aflāk meñ rahā hai ġham
kahāñ qayām hai shāhīñ kā āshiyāne meñ
urūj-e-tīrgī-e-shab se ho sahar paidā
yahī nizām hai duniyā ke kār-ḳhāne meñ
shafaq ke ḳhuun kī surḳhī bhī ho ga.ī shāmil
sahar-ba-dosh sitāroñ ke jhilmilāne meñ
abhī bahār kā kuchh aur intizār karo
ki thoḌī der hai kaliyoñ ke muskurāne meñ
ye vo matā-e-girāñ hai jo mil nahīñ saktī
sukūn-e-dil kī tamannā na kar zamāne meñ
kabhī qarār dil-e-be-qarār ko bhī mile
ilāhī kaun kamī hai tire ḳhazāne meñ
kisī se kuchh bhī shikāyat karūñ to kyā hāsil
milā na koī vafā-āshnā zamāne meñ
guloñ kī bazm hī rañgīniyāñ ba-dosh nahīñ
har ek naqsh hasīñ hai nigār-ḳhāne meñ
meñ rauñdtā huā kāñToñ ko yuuñ guzartā huuñ
ki rah-ravoñ ko suhūlat ho aane jaane meñ
vo ek tum ho ki tum ko kisī ne kuchh na kahā
vo ek ham haiñ ki rusvā hue zamāne meñ
tire ḳhayāl se aatī nahīñ jo lab pe mire
vahī to kaam kī ik baat thī fasāne meñ
vo iztirāb-e-musalsal kā lutf kyā jaane
musībatoñ se jo ghabrā gayā zamāne meñ
kuchh andalīb kā ḳhuun jigar bhī hai shāmil
guloñ kī bazm kī rañgīniyāñ baḌhāne meñ
hamīñ to lazzat-e-āzār ke nahīñ ḳhūgar
unheñ bhī lutf sā aatā hai kuchh satāne meñ
qusūr un kī nigāhoñ kī shoḳhiyoñ kā bhī hai
hamārī jur.at-e-shauq-o-talab baḌhāne meñ
rahegā muddatoñ charchā mirā zabānoñ par
kisī kī bazm se 'anvār' uTh ke jaane meñ
Top Urdushayar.com