Anwarul Hasan Anwar

husn har rang mein maKHsus kashish rakhta hai

Anwarul Hasan Anwar

husn har rañg meñ maḳhsūs kashish rakhtā hai
vo tabassum kī adā ho ki sitam-koshī ho
zindagī kaif-e-musalsal meñ guzar jaatī hai
chashm-e-maḳhmūr kī mastī ho ki mai-noshī ho
tere aane kī masarrat se sahar ho raushan
aur rātoñ kī tire ġham meñ siyah-poshī ho
jāzbiyyat to ba-har-hāl huā kartī hai
husn kī bū-qalamūnī ho ki ḳhush-poshī ho
koī aalam ho najāt-e-ġham-e-daurāñ ke liye
maut ho niiñd ho be-hoshī ho
shukr 'anvār' jafāoñ pe na kyūñkar kījiye
kyūñki shikva ho to ehsān-frāmoshī ho
Top Urdushayar.com