bhūlne vaale tujhe yaad kiyā hai barsoñ
dil-e-vīrāñ ko yuuñ ābād kiyā hai barsoñ
saath jo de na sakā rāh-e-vafā meñ apnā
be-irāda bhī use yaad kiyā hai barsoñ
ġham jahāñ meñ vo rafīq-e-abadī hai apnā
jis ne har haal meñ dil shaad kiyā hai barsoñ
bhuul saktā huuñ bhalā gardish-e-daurāñ tujh ko
roz tū ne sitam ījād kiyā hai barsoñ
kab giraftār-e-ḳham-e-ġham-e-hijrāñ na rahā
kab tire dard ne āzār kiyā hai barsoñ
ab bhī 'anvār' pashemānī-e-ḳhātir ho na kyuuñ
umr-e-rafta tujhe barbād kiyā hai barsoñ