Imran Shamshad

kabhi pairon se aankhon tak chubhan mahsus hoti hai

Imran Shamshad

Karachi, Sindh, Pakistan

1978
kabhī pairoñ se āñkhoñ tak chubhan mahsūs hotī hai
kabhī ye zindagī mujh ko chaman mahsūs hotī hai
masāfat ne musāfir se kahā tū thak rahā hai kyuuñ
thakan mahsūs karne se thakan mahsūs hotī hai
to phir maiñ sochtā huuñ ruuh kī pākīzgī kyā hai
mohabbat jab mujhe apnā badan mahsūs hotī hai
buland-o-bālā lagtī hai kabhī ye āsmāñ jitnī
kabhī ye chhat mujhe apnā kafan mahsūs hotī hai
vahāñ miTTī-tale maiñ haa.e kaise saañs khīñchūñgā
mujhe taaza havā meñ bhī ghuTan mahsūs hotī hai
na āñkhoñ meñ vo pahle sā koī favvāra uThtā hai
na siine meñ vo pahlī sī jalan mahsūs hotī hai
ye duniyā pahle bhī ḳhud meñ magan mahsūs hotī thī
ye duniyā aaj bhī ḳhud meñ magan mahsūs hotī hai
Top Urdushayar.com